logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - mohammad raza gopalpuri - 2021

Daastan-e-sakina hai pur ranj-o-gham

Thartharane lage likhte likhte qalam-Daastan-e-sakina hai pur ranj-o-gham

Haif dhaaye gaye kaise kaise sitam-Daastan-e-sakina hai pur ranj-o-gham

1. Chaar sala yateema ko baad-e-pedar
Kheench kar ashqiya le gaye dar ba dar
Haaye wo nanhi bachi wo tool safar
Shaam-o-kufa ki pur khaar wo rehguzar
Ho gaye zakhmi kaanto se dono qadam,

Daastan-e-sakina hai pur ranj-o-gham

2. Kaan zakhmi hue guoshware chine
Chalte chalte ruki to tamanche lage
Kis se shikwa kare dard kis se kahe
Ab na baba na ammu na bhai rahe
Ek bhai bhi hai to aseer-e-sitam

Daastan-e-sakina hai pur ranj-o-gham

3. Reh gaya shaane katwa ke run me chacha
Aur Akbar sa be misl bhai chuta
Baqi sar par na baba ka saya raha
Sath khaimo ke asghar ka jhula jala
Haaye kis tarah aankho ke annsu ho kam

Daastan-e-sakina hai pur ranj-o-gham

4. Aag khaimo me a’ada lagate rahe-
Maal-o-asbab saare jalate rahe
Nanhe bachon ko durre lagate rahe
Shimr ke kode sajjad khate rahe
Dekha har zulm bachi ne baa chashm-e-nam

Daastan-e-sakina hai pur ranj-o-gham

5. Qaid khane me aansu bahati rahi
Apni beeti museebat sunati rahi
Baam-o-dar bain kar ke hilati rahi
Apne baba ko ro ro bulati rahi
Aa gaye khwab me sarwar-e-zee hasham

Daastan-e-sakina hai pur ranj-o-gham

6. Qaid se bachi naushad chut na saki
Khwab me baap ko dekh kar mar gayi
Kaise dafnaye Sajjad hai be basi
Paaon me bediyan, haathon me hathkadi
Apni ghurbat pe rote hain ehl-e-haram

Daastan-e-sakina hai pur ranj-o-gham

HomebookmarkmybayaazSetting